Gullyboy | Apna Time Aayega | Ranveer Singh, Alia Bhatt
Apna Time Aayega
Movie: Gullyboy
Song: Apna Time Aayega
Starring: Ranveer Singh
Singer: Ranveer Singh, Dub Sharma
Composer: Dub Sharma, DIVINE
Lyrics: DIVINE, Ankur Tewari
Kaun bola
Mujhse na ho paayega
Kaun bola kaun bola
Apna Time Aayega
Uth ja apni raakh se
Tu ud ja ab talaash mein
Parwaz dekh parwaane ki
Aasman bhi sar uthaega
Aayega apna time aayega
Mere jaisa shaana lala
Tujhe na mill payega
Ye shabdo ka jwaala
Meri bediyyan pighlaayega
Jitna toonay boya hai tu
Utna hi toh khayega
Aisa mera khwaab hai jo
Darr ko bhi sataega
Zinda mera khwaab
Kaise tu dafnaega
Ab hauslay se jeene de
Ab khauf nahin hai seene mein
Har raaste ko cheerenge
Hum kamyaabi chhinenge
Sab kuch mila paseenay se
Matlab bana ab jeene mein
Kyu?
Kyuki apna time aayega,
Tu nanga hi toh aaya hai
Kya ghanta le kar jayega
Apna time aayega…
Tu nanga hi toh aaya hai
Kya ghanta le kar jayega
Apna time aayega….
Tu nanga hi toh aaya hai
Kya kya ghanta le kar
Kissi ka haath nahin tha sar par
Yaha par aaya khud ki mehnat se main
Jitni taakat kismat mein nahin
Utni rehmat mein hai
Phir bhi ladka sehmat nahin hai
Kyuki hairat nahi hai
Zarurat yaha
marzi ki aur
Jurrat ki Hai
Taakat ki Hai
Aafat ki
Himakat ki
Ibaadat ki,
Adalat Yeh hai
Chahat ki
Mohabbat ki
Amaanat ki hai
Jeetne ki ab
Aadat ki hai
Shohrat ki ab
Lalach nahin hai
Tere bhai jaisa koi
Hard ich nhi hai
Hard Hard Hard
Iss harqat ne hi
Barkat di hai, Kyu?
Kyunki apna time aayega,
Tu nanga hi toh aaya hai
Kya ghanta le kar jaayega
Apna time aayega….
Tu nanga hi toh aaya hai
Kya ghanta le kar jayega
Kya tu nanga hi to aaya tha
Kya tu ghanta le kar jayega
Apna time aayega
Apna time aayega na
Comments
Post a Comment